Wo do jodi aankhen..
Un do jodi aankhon ne kya kya nahi dekha,
rishte dekhe,naate dekhe,
bahut se log aate-jaate dekhe,
sangi-sathi choote,unke bhi dil toote,
deewaron ko taktein aankhon se aise sapne roothe,
un do jodi aankhon ne kya kya nahi dekha,
badon ka laad dekha,choton ka dulaar dekha,
chai ki pyali pe,sabka tyohaar dekha,
lambi si raaton mein,dard bhari aahon mein,
daudte hue apnon ka,pyara sa pyar dekha,
un do jodi budhi aankhon ne kya kya nahi dekha,
jhurriyon ne chehron ki lakeerein modi,
kaapte hath-pairon ne hilne ki umeedein chodi,
zubaan ne chaha koi baat batana,
Jo sunayi kahani,wo reh gayi thodi,
un do jodi aankhon ne kya kya nahi dekha,
bhagti ghadi ke kaaton mein apna purnaviram dekha,
aane waale kal mein aaj ki taklifon se aaram dekha,
Jo bhi dekha,sath-sath har mukaam dekha,
aur,
un tript aankhon ka,unki peediyon ne,ek sath mokshadhaam dekha..
un do jodi aankhon ne tha,kya kya nahi dekha..
No comments:
Post a Comment