Total Pageviews

Monday 5 March 2012

ek arsa hua muskurae hue,
zindagi ka safar,kat raha hai magar,
waqt rehta hai ab chatpatae hue,
ek arsa hua muskurae hue..
faslon ki kadar,maine jaani hai ab,
siskiyon ki chubhan,maine maani hai ab,
aahaton se tadap jaati hun is kadar,
kaise rehti hun isko chupae hue,
ek arsa hua muskurae hue..
muskurati hun phir bhi main ye sochkar,
log puchenge mujhse,mujhe rok-kar,
kyun paresha ho tum,kaisi nadan ho,
kya haquikat ki raahon se anjaan ho,
kya kahungi main unse,chupaungi kya,
kya udaasi ki wajaha,sunaungi kya,
muskurati hoon,aakhen chupae hue,
ek arsa hua muskurae hue..

No comments:

Post a Comment